Shri Jinendra Bhajan Mala-Gujarati (English transliteration).

< Previous Page   Next Page >


Combined PDF/HTML Page 2 of 11

 

Page 11 of 208
PDF/HTML Page 21 of 218
single page version

background image
tab vilamb nahIn kiyo sAp kiy kusum sumAlA,
tab vilamb nahIn kiyo urmilA surath nikAlA;
tab vilamb nahIn kiyo shIl bal phATak khUlle,
tab vilamb nahIn kiyo anjanA van man phUle...im chUri0 4
tab vilamb nahIn kiyo sheTh sinhAsan dInhon,
tab vilamb nahIn kiyo sindhu shrIpAl kaDhInhon;
tab vilamb nahIn kiyo pratignA vajrakarNa pal,
tab vilamb nahIn kiyo sudhannA kADhi vApithal...im chUri0 5
tab vilamb nahIn kiyo kans bhay trijug ugAre,
tab vilamb nahIn kiyo kRiShNa sut shilA udhAre;
tab vilamb nahIn kiyo khaDga munirAj bachAyo,
tab vilamb nahIn kiyo nIr mAtang uchAyo...im chUri0 6
tab vilamb nahIn kiyo sheTh sut niraviSh kInhon,
tab vilamb nahIn kiyo mAnatung bandh harInhon;
tab vilamb nahIn kiyo vAdimuni koDh miTAyo,
tab vilamb nahIn kiyo kumud nijapAs kaTAyo....im chUri0 7
tab vilamb nahIn kiyo anjanA chor ugAryo,
tab vilamb nahIn kiyo pUravA bhIl sudhAryo;
tab vilamb nahIn kiyo gRuddhapakShI sundar tan,
tab vilamb nahIn kiyo bhed diy sur adbhutadhan..im chUri0 8
ih vidhi dukh niravAr sAr sukh prApti kInhon,
apano dAs nihAri bhakta vatsal guN chInhon;

Page 12 of 208
PDF/HTML Page 22 of 218
single page version

background image
ab vilamb kihIn het kRupA kar ihAn lagAI,
kahA suno aradAs nAnhI tribhuvan ke rAI...
im chUri bhUri dukh bhakta ke, sukh pUre shivatiy varan;
prabhu mohI dukh nAshan viShe, ab vilamb kAran kavan. 9
jan vRund su manavachatan abe, grahI nAth tum pad sharan;
sudhi le dayAl mam hAl pai, kar mangal mangalakaram. 10
shrI jinendra stavan
[pukAr stuti]
(dohA)
je yA bhav sansAr men bhugaten dukh apAr;
tin pukAr prabhujI men karun kavit ik DhAr.
[chetanarUp anUp amUrat, siddhasamAn sadA...e rAga tevIsA chhand]
shrI jinarAj garIb nivAj
sudhAran kAj sabe sukhadAI,
dIn dayAl baDe pratipAl
dayA guNamAl sadA shir nAI;
durgati TAran pAp nivAran
ho bhavi tAran ko bhav tAI,
bArahin bAr pukAratu hon
janakI vinati suniye jinarAI.... 1

Page 13 of 208
PDF/HTML Page 23 of 218
single page version

background image
janma jarA maraNo traN doSh
lage hamako prabhu kAl anAI,
tAsu nasAvan ko tum nAm
sunyo ham vaidya mahA sukhadAI,
so tray doSh nivAranako
tumare pad sevatu hon chitta lyAi,
bAr hin bAr pukAratu hon
janakI vinati suniye jinarAI.... 2
dekhI dukhI par hot dayAl
su hai ik grAmapati shiranAI,
ho tum nAth trilok pati
tumase ham arja kare shiranAI;
mo dukh dUr karo bhavake tasu
karmanaten prabhu lehu chhuTAI,
bAr hin bAr pukAratu hon
janakI vinati suniye jinarAI.... 3
moh baDe ripu hai hamare
hamarI bahu hIn dashA kar pAI,
dukh anant diye hamako
har bhAntin bhAntin doSh lagAI;
main in vairin ke vash hvai
karike bhaTakyo su kahyo nahIn jAI,

Page 14 of 208
PDF/HTML Page 24 of 218
single page version

background image
bAr hin bAr pukAratu hon
janakI vinati suniye jinarAI.... 4
main is hI bhavakAnan men
bhaTakyo chirakAl suhAl gamAi,
kinchit hI tilase sukhako
bahu bhAnti upAy kare lalachAI;
chAr gaten chir men bhaTakyo
jahan meru samAn mahA dukhadAI,
bAr hin bAr pukAratu hon
janakI vinati suniye jinarAI.... 5
je dukh main bhugate bhav ke
tinake varaNe kahun pAr na pAI,
kAl anAdi na Adi bhayo
tahan men dukhabhAjan ho aghamAnhI;
mAtpitA tum ho jag ke
tum chhAnDi phirAd karun kahan jAI,
bAr hin bAr pukAratu hon
janakI vinati suniye jinarAI.... 6
so tumason sab dukh kahon
prabhu jAnat ho tum pID hamArI,
main tum ko satasang kiyo
din hU din Avat sharan tihArI;

Page 15 of 208
PDF/HTML Page 25 of 218
single page version

background image
gnAn mahAnidhi mohi diyo prabhu!
rank bhayo inako nahi pAI,
bAr hin bAr pukAratu hon
janakI vinati suniye jinarAI.... 7
yah vinati sun sevakakI
nij mAragamen prabhu lehu lagAI
main tum dAs rahyo tumare sang
lAj rahyo sharaNAgati AI;
main tuv dAs udAs bhayo
tumarI guNamAlA sAd ur lAI,
bAr hin bAr pukAratu hon
janakI vinati suniye jinarAI.... 8
der karo mat shrI karuNAnidhi
jo pat rAkhanahAr nikAI,
yog jure kramason prabhujI yah
nyAy hajUr bhayo tum AI;
An rahyo sharaNAgati hon
tumarA sunake tihunlok baDAI,
bAr hin bAr pukAratu hon
janakI vinati suniye jinarAI.... 9
main prabhujI tumharI samahU
in antar pAr diyo dusarAI,

Page 16 of 208
PDF/HTML Page 26 of 218
single page version

background image
nyAy na ant karye hamaro,
na milI hamako tumasI ThakurAI;
santan rAkhi karo apane Dhig
duShTani dehu nikAs bahAI;
bAr hin bAr pukAratu hon
janakI vinati suniye jinarAI.... 10
duShTanakI ju kusangati men hamako
kachhu jAn parI na nikAI,
sevak sAhab ko duvidhA na rah
prabhujI kariye ju bhalAI,
pher namon ju karo arajI jas
jAhir jAn pare jagatAI,
bAr hin bAr pukAratu hon
janakI vinati suniye jinarAI.... 11
yah vinati prabhu ke sharaNAgati
je nar chitta lagAy karenge,
je jagamen aparAdh karen adya
te kShaNamAtra bharemen harenge;
je gati nIch nivAs sadA
avatAr sudhI svar lok dharenge,
devIdAs kahe kramason puni te
bhavasAgar pAr tarenge... 12

Page 17 of 208
PDF/HTML Page 27 of 218
single page version

background image
shrI anantanAth stavan
(chAla tribhuvanaguru svAmIjI...sAmAyikavAlejI)
jay anant jineshvarajI, puShpottar tain svarajI
singh sen narasur ke chay sut bhaye jI;
‘sUryAde’ mAtAjI, jag puNya vikhyAtAjI,
tin ke jagatrAtA garbhaviShen thaye jI. 1
kArtik andhiyArIjI, parivA avikArI jI,
sAket manjhArI kalyAk hari kiyojI;
ShaTamAs agArejI, maNi svarNa ghanerejI,
varase nRup kere mandir dhan jayojI. 2
dvAdashI andhiyArIjI, janame hitakArI jI,
prabhu jeTh manjhArI surApur Ayaken jI;
suragiri lai Ayai jI, bhav mangal gAye jI,
abhiShek rachAye pUjen dhyAyake jI. 3
phir pitu ghar lAye jI, nachi tUr bajAye jI,
ang namAye mAt pitA tabai jI;
tan hem mahA chhabijI, panchAs dhanu ravi jI,
lakhi tIs kahe kavi Ayu bhaI sabai jI. 4
nRup padavI dharIjI, lakhi paNadah sArI jI,
sab anitya vichArI tapovanakun gaye jI;

Page 18 of 208
PDF/HTML Page 28 of 218
single page version

background image
vadi jeTh duvAdasIjI, tap dekhI ravarA riShijI,
pad pUji naye nasi pAp sabe gaye jI. 5
ShaShTam karI pUro jI, bhojan hit sUro jI,
pUr dharma sanUro Avat dekhiken jI;
nav bhakti thakI payajI, vishAkh tahAn day jI,
maNivRuShTi akhay karI suragaN pekhiken jI. 6
dhari dhyAn shukla tabajI, chau ghAti hane jabajI,
sur Ay mile sab gnAn kalyAN hI jI;
vadI chait amAvasIjI, jakhI bhukti tuhe vasijI,
samavAdI rachyo tasu upamA bhI nahi jI. 7
samavAdI jite bhavi jI, suni dharma tIre sabajI,
prabhu Ayu rahI jab mAs taNI tabe jI;
sammed padhAre jI, sab jog sanghAre jI,
samabhAv vithArI varI shivatiy jabe jI. 8
vasu guN jut bhUShit jI, bhav chhAri vase tit jI;
sukh magan bhaye jit mAvas chaitakI jI;
sur sab mili AyejI, shiv mangal gAyejI,
bahu puNya upAy chale tum guNatakI jI. 9
guN vRunda tumhAre jI, budh kan uchAre jI,
gaNadev nihAre pai vach nA kahe jI;

Page 19 of 208
PDF/HTML Page 29 of 218
single page version

background image
‘chandarAm’ kare thutijI, vasu ang thakI nutijI,
guN pUran dyo mati mam tun he lahai jI. 10
prabhu araj hamArI jI, sunijo sukhakArI jI,
bhavamen dukhabhArI nivAro ho ghaNI jI;
tum sharan sahAI jI, jagake sukhadAI jI,
shiv de pitu mAI kahon kabalon ghaNI jI. 11
(ghattA)
iti guNagaN sAran, amal apAran, jiy anant ke hiy dharaI;
hani jar maraNAvali, nAsi bhavAvali, shiv sundarI tatachhin varaI.
mahAvIrasvAmI bhajan
(harigIt)
jay mahAvIr jinendra jay bhagavan! jagat rakShA karo,
nij sevakon ke bhavajanit santAp ko kRupayA haro.
hain tej ke ravi Ap ham agnAn tamamen lIn hain,
hai dayA sAgar Ap ham ati dIn hain balahIn hain. 1
dAnI na hogA ApasA hamasA na agnAnI kahIn,
avalamb keval hain hamAre Ap hI dUjA nahIn.
bhavasindhu ke bhavabhramaramen ham DUbat hain he prabho,
ab sun ke pukAr merI A bachAo he vibho. 2

Page 20 of 208
PDF/HTML Page 30 of 218
single page version

background image
merUpai abhiShek karAyA indrane to kyA huA!
yadi ‘indra’ke madako miTAyA Apane to kyA huA!
yadi kamal ko gajane hilAyA to prashansA kyA huI!
terI prashansA gnAnasen prabhu karun hRudabichamen laI!... 3
apakAriyonke sAth bhI upakAr karate Ap the,
manamen na pratyupakArakI kuchh chAh rakhate Ap the;
vaDavAgni vAridhi ke hRuday ko hai jarAtA nitya hI,
par jaladhi apanAye use hai krodh kuchh karatA nahIn... 4
prabhu! svAvalambanakA supath sabako dikhAyA Apane,
draDh AtmabalakA marma bhI sabako sikhAyA Apane;
samatA sabhI ke sAth dhar prabhu rAh muktikI daI,
is hetu sevA ApakI nishchay mahI karatI rahI... 5
yadyapi ahinsA kram sabhIne shreShTha mat mAnA sahI,
par vAstavik usake vidhAnon ko kabhI jAnA nahIn;
kis bhAnti svarUp chAhiye sachche ahinsA dharmakA,
atishay saral karake dikhAyA Apane is marmakA... 6
karake kRupA yadi avatarit hote na bhU par Ap to,
to kaise pAte bhakta tere bhav samudra ke pAr ko;
jit kAm ho niShkAm ho aru shAnti ke sukhadhAm ho,
yogesh bhogonse rahit guN hIn ho guNagrAm ho... 7

Page 21 of 208
PDF/HTML Page 31 of 218
single page version

background image
jay jay mahAvIr prabho jagako jagAkar Apane,
mithyAtva
janya anant dukhon sen chhuDAkar Apane,
is lokako suralok se bhI param pAvan kar diyA,
agnAn
Akar vishvako pragnAnsAgar hai kiyA... 8
shrI padmaprabhu stavan
(dohA)
shIsh navA arihant ko, siddhan karun praNAm;
upAdhyAy AchAryakA, le sukhakArI nAm,
sarva sAdhu aru sarasvatI, jinamandir sukhakAr;
chhaThThe jinavar padma ko man mandir men dhAr.
(chopAI)
jay shrI padmaprabhu guNadhArI, bhavijan ke tum ho hitakArI;
devon ke tum dev kahAo, pAp bhakta ke dUr haTAo. 1
tum jagamen sarvagna kahAo, chhaThThe tIrthankar kahalAo;
tInakAl tihun jagakI jAno; sab bAten kShaNamen pahichAno. 2
veSh digambar dhAran hAre, tumase karma shatru bhI hAre,
mUrti tumhArI kitanI sundar, draShTi sukhad jamatI nAsA par. 3
krodh mAn mad lobh bhagAyA, rAg
dveSh kA lesh na pAyA,
vItarAg tum kahalAte ho, sab jag ke manako bhAte ho. 4

Page 22 of 208
PDF/HTML Page 32 of 218
single page version

background image
kaushAmbI nagarI kahalAye, rAjA dhAraN jI batalAye,
sundar nAr susImA unake, jisake urase svAmI janme. 5
kitanI lambI umar kahAI, tIs lAkh pUrav batalAI,
ik din hAthI bandhA nirakh kar, jhaT AyA vairAgya umaDakar. 6
kArtik sudI trayodash bhArI, tumane munipad dIkShA dhArI,
sAre rAjapAT ko taj ke, jabhI manohar banamen pahunche. 7
tap kar kevalagnAn upAyA, chait sudI pandaras kahalAyA,
ek so das gaNadhar batalAye, mukhya vajra chAmar kahalAye. 8
lAkhon muni arjikA lAkhon, shrAvak aur shrAvikA lAkhon,
asankhyAt tiryanch batAye, devI dev ginat nahi pAye. 9
phir sammed shikhar par jAke, shivaramaNI ko lI paranAke,
pancham gati mahA sukhadAI, vah tumane mahimAvant pAI. 10
dhyAn tumArA jo dharatA hai, is bhavase vah nar taratA hai,
usako kShaN kShaN khushIyAn hove, jis par kRupA tumArI hove. 11
main hUn svAmI dAs tumArA, merI naiyA kar do pArA,
nain chakor ko ‘chandra’ banAven, padmaprabhu ko shIsh namAven. 12

Page 23 of 208
PDF/HTML Page 33 of 218
single page version

background image
shrI chandraprabhu stavan
(dohA)
he mRugAnk ankit charaN, tum guN agam apAr,
gaNadhar se nahIn pAr lahIn, to ko varatan sAr. 1
pai tum bhagati hiye mam, prerai ati umagAy,
tAtain gAun sugun tum, tum hI hou sahAy. 2
(chhand paddhari 15 mAtrA)
jay chandra jinendra dayA nidhAn,
bhav kAnan hAnan daun pramAn;
jay garabh janam mangal dinand,
bhavi jIv vikAshan sharmakand. 3
dashalakSha pUrva kI Ayu pAy,
man vAnchhit sukh bhoge jinAy;
lakhi kAraN hvai jagatain udAs,
chityo anuprekShA sukhanivAs. 4
tit laukAntik bodhyo niyog,
hari shibikA sajI dhariyo abhog;
tApai tum chaDhi jinachandarAy,
tA chhinakI shobhA ko kahAy. 5
jin ang set sit chamar DhAr,
sit chhatra shIs gal gulakahAr.

Page 24 of 208
PDF/HTML Page 34 of 218
single page version

background image
sit ratan jaDit bhUShaN vichitra,
sit chandra charaN charachen pavitra. 6
sit tanadyuti nAkAdhIs Ap,
sit shibikA kAndhe dhari suchAp;
sit sujas suresh nares sarva,
sit chittamen chintat jAt parva. 7
sit chandra nagaratain nikasi nAth,
sit vanamen pahunche sakal sAth;
sit shilA shiromaNi svachchha chhAnh,
sit tap tit dhAryo tum jinAh. 8
sit payako pAraN param sAr,
sit chandradatta dIno udAr;
sit karamen so payadhAr det,
mAnon bAndhat bhavasindhu set. 9
mAnon supuNya dhArA pratakSha,
tit acharaj pt. sur kiy tatakSha;
phir jAy gahan sit tap karant,
sit keval jyoti jagyo anant. 10
lahi samavasaran rachanA mahAn,
jAke dekhat sab pAp hAn;

Page 25 of 208
PDF/HTML Page 35 of 218
single page version

background image
jahAn taru ashok shobhai uttang,
sab shok tenA chUre prasang. 11
sur sumanavRuShTi nabhaten suhant,
manu manmath taj hathiyAr jAt;
vAnI jinamukhason khirat sAr,
manu tattva prakAshan mukur dhAr. 12
jahan chausaTh chamar amar Dhurant,
man sujas megh jhari lagiy tant;
sinhAsan hai jahAn kamal jukta,
manu shiv saravarako kamal shukta. 13
dundubhi jit bAjat madhur sAr,
manu karam jIt ko hai nagAr;
shirachhatra phirai tray shvet varNa,
manu ratan tIn tray tAp harNa. 14
tan prabhAtanon manDal suhAt,
bhavi dekhat nij bhav sAt sAt;
manu darpaNadyuti yah jagamagAy,
bhavijan bhavamukh dekhat su Ay. 15
ityAdi vibhUti anek jAn,
bAhij dIsat mahimA mahAn;

Page 26 of 208
PDF/HTML Page 36 of 218
single page version

background image
tAko varanat nahIn lahat pAr,
to antarang ko kahe sAr. 16
anaant guNanijut karI vihAr,
dharamopadesh de bhavya tAr;
phir jog nirodhi aghAti hAn,
sammed thakI liy mukti thAn. 17
vRundAvan vandat shIsh nAy,
tu jAnat ho mam ur ju bhAy;
tAtain kA kahUn so bAr bAr,
man vAnchhit kAraj sAr sAr. 18
(chhand dhattAnand)
jay chand jinandA, AnandakandA, bhavabhay bhanjan rAje hain,
rAgAdik dvandA, hari sab phandA, muktimAnhI tithi sAje hain.
neminAthstuti
(chAla sAmAyik vAle jI....)
tribhuvan guru svAmIjI, karuNAnidhi nAmIjI,
suni antarajAmI merI vinatIjI....1
main dAs tihArAjI, dukhiyA bahu bhArAjI,
dukh meTanahArA tum jAdompatIjI....2

Page 27 of 208
PDF/HTML Page 37 of 218
single page version

background image
bharamyo sansArAjI, chir vipatti bhanDArAjI,
kahIn sAr na sAr chahungati DoliyAjI...3
dukh meru samAnAjI, sukh sarasondAnAjI,
ab jAn dhari gnAn tarAjU toliyAjI....4
yon dukh bhav kerAjI, bhugate bahuterAjI,
prabhu! mere kahate pAr na hai kahInjI....5
mithyA mad mAtAjI, chAhI nit sAtAjI,
sukhadAtA jagatrAtA tum jAne nahInjI....6
prabhu bhAgani pAye jI, guN shravaN suhAyejI,
takI AyA ab sevakakI vipadA harojI...7
bhavavAs vaserAjI, phir hoy na pherAjI,
sukh pAven jan terA svAmI so karo jI...8
tum sharan sahAI jI, tum sajjan bhAIjI,
tum mAI tumhIn bAp dayA mujh lIjiyejI....9
bhUdhar kar jore jI, ThADho prabhu ore jI,
nijadAs nIhAro nirabhay kIjiye jI...10

Page 28 of 208
PDF/HTML Page 38 of 218
single page version

background image
shrI jinarAj stavan
Aj ham jinarAj tumhAre dvAre Aye,
hAn jI hAn.....ham Aye Aye....Aj hama0
o hitakArI karuNA sAgar,
sevak tumhAre shir jhUkAye....1
dekhen dev jagat ke sAre,
ek nahIn man bhAye,
puNya udayase Aj tumhAre,
darshan kar sukh pAye...2
janma-maraN nit karate karate,
kAl anek gamAye,
ab to svAmI janmamaraNakA,
dukhaDA sahA nahIn jAye...3
bhav sAgaramen nAv hamArI,
kab se gotA khAye,
tumahI svAmI hAth baDhAkar,
tAro to tir jAye....4
anukampA ho jAy ApakI,
AkulatA miT jAye,
pankajakI prabhu yahI vinati,
charaN sharaN mil jAye...5

Page 29 of 208
PDF/HTML Page 39 of 218
single page version

background image
shrI sImandhArajin stavan
(Aj ham jinarAj tumhAre dvAre Aye...)
nAth ho lavalIn tumhArI mahimA gAven....
hAn jI hAn....ham gAven gAven....nAth ho0
he jaganAyak sImandhar svAmI...
tAro to tir jAyen....hAn....ham gAven....
gnAn ravise hRuday dIpAyen
mithyA timir bhagAyen,
rAgdveSh AvaraN haThAkar,
keval jyoti jagAyen...hAn...ham...gAve....1
bhaktirUp sAbunase jIyake
darpan ko chamakAven!
moh pank haTAkar urase
nirmal man ko banAve....hAn...ham gAve....2
saral mukti path karo hamArI
savinay shIsh namAven!
‘vRuddhi’ kahatA ban anugAmI
nitaprati dhyAn lagAve....hAn...ham gAven....3

Page 30 of 208
PDF/HTML Page 40 of 218
single page version

background image
shrI jinendra stavan
(o nAg...! kahIn jA basiyo re...)
o nAth! araj Tuk suniyo re...
nij yash na visarIyo re....
dIn dukhit ho mArA mArA rUlA chain nahIn pAyA
lAkh chorAsI janam dhArakar, sharaNAgat ab AyA,
prabhu najar maharakI kariyo re...nija0 1
tun alipta main lipta rAgamen hUn sansArakA vAsI
nij svarUpamen avichal tiShThun kAT bhramanakI phAnsI,
bhav bhAr merA ab hariyo re....nija0 2
janam maranakA sankaT chhUTe mukti mahal ko pAun,
jIvanakA ‘saubhAgya’ udit kar tujasA main ban jAun,
ye shakti sudhA ghaT bhariyo re...nija0 3
shrI ´Shabhajin stavan
(o...nAth! araj Tuk suniyo re....)
main nAm RUShabh jin dhyAun re...nit Anand pAun re...
chAron ved purAN dekh lo ShaT darshan guN gAve,
dvAdashAng vANI shivadAnI shivakI rAh batAve...
main un sang prIt baDhAun re...nita0 1