bhajanamāḷā ][ 101
mainā sundarī ik nārī thī, koḍhī pati lakhī duḥkhiyārī thī;
nahīn paḍe chain dinarain vyathit akulānī....
phal pāyo mainā0 1
jo patikā kaṣhṭa miṭāuṅgī, to ubhay lok sukh pāuṅgī;
nahīn ajāgal stanavat niṣhphal jindagānī...
phal pāyo mainā0 2
ik din gaī jin mandiramen, darshan karī ati harṣhī uramen;
phir lakhe sādhu nirgranth digambar gnānī.....
phal pāyo mainā0 3
baiṭhī muni ko karī namaskār, nij nindā karatī bārambār;
bharī ashru nayan kahī munison duḥkhad kahānī....
phal pāyo mainā0 4
bole muni putrī dhairya dharo, shrī siddhachakra kā pāṭh karo;
nahīn rahe kuṣhṭa kī tanamen nām nishānī....
phal pāyo mainā0 5
suni sādhu vachan harṣhī mainā, nahīn hoy jhūṭh munike vainā;
karī ke shraddhā shrī siddhachakra kī ṭhānī....
phal pāyo mainā0 6
jab parva aṭhāī āyā hai, utsavayut pāṭh karāyā hai;
sabake tan chhiḍakā yantra nhavan kā pānī....
phal pāyo mainā0 7