stavanamāḷā ][ 119
shrī jin – stavan
(lāre lappā, lāre lappā)
pār lagā pār lagā pār lagānā,
nāth merī nāv phansī pār lagānā,
o....tum sam aur na māñjhī svāmījī pār lagānā. ṭek.
chār gatikā gahan sarovar, chaurāsī lakh lahar lahar par.
ḍag mag ḍole naiyā, o svāmījī!
ḍagamag ḍole naiyā. pār lagā. 1.
viṣhay kaṣhāy magar munh phāre, ghūm rahe chahun viṣhadhar kāle,
pāp bhamvar hai bhārī, o svāmījī pāp bhamvar hai bhārī.
pār lagā. 2.
terā nām sahārā pākar lākhon chhor lage hain jākar,
bānh pakaḍ lo tār, o svāmījī, bānh pakaḍ lo tār,
pār lagā. 3.
karma kāṭ tum sam pad pāūn, jīvan kā ‘‘saubhāgya’’ dipāūn,
lahūn mokṣha sukhakār, o svāmījī, lahūn mokṣha sukhakār,
pār lagā. 4.
✽