arimoh karīko harisamān, tum vighna vidāraṇ achal jān.
tum pad sarojakī bhakti sār, nit karain surāsur budhi udār,
riṣhi muni mahant tum nām dhār, bhavasāgaraten hovain supār.
ityādi atul guṇagaṇ anant, gaṇadhar nahi pāvai kahat ant,
tau alpamatī nar aur koy, tum guṇasamudra kim pār hoy.
main saranāgat āyo kr̥upāl, bhavasāgaraten mokūn nikāl,
main ḍūbat hūn bhavasindhumānhi, jinarāj kr̥upākar gaho bānh.
jabalon jagavās rahai jinesh, jabalaun arikarma karain kalesh,
tabalaun tum charna hr̥ude hamesh, mam vās rahau suniye mahesh.
yah araj hamārī sunon sār, main namat sadā kar shīsh dhār,
tum jaganāyak siradār sār, sansār khāratain karau pār.
vibudhāṅganā jinamātujīkī rahain nit prati sāsanī;